Struggle for my first phone Part 1

Struggle for my first phone

Part 1




To suru se suru karte hai mere pahle phone aane ki kahani 



To ye Baat Hai class 9 yaani Pichhle saal February ki jab maine aur mere bhai(dost) ne phone lene ka plan banaya vo class 12 th me tha aur mai 9th. Mujhe phone pasand Aa Gaya tha jo ki 11 Hazaar ka tha. Maine socha ki bus phone lena to halwa jaisa aasana hoga to maine pasand bhi kar liya magar jab maine apne mammi se Baat ki to mere armmano pe pani Phir gaya lag raha tha ki mere upar kisi kauwe ne hug diya ho aur dhone ke liye pani bhi na ho. Kyoki ye mere izzat ka sawal tha kyoki maine jiske Saath phone lene ka plan banaya tha usne apna phone le. Bhi liya tha aur mai uske samne jana bhi nahi chahta tha kyoki dost hote hi harami hai. Unhone pahle manaa kiya Phir kaha itna mahnga(vo bahana bana rahi thi) mujhe pata tha vo bahana bana rahi hai. Maine socha mai papa se Baat karu to Baat ban sakti hai. Par maine Baat nahi ki kyoki meri phat ti thi apne Baap se. Phir maine mammi se Baat ki to unhone kaha exam ke Baad. Exam suru hua fir khatm hua mai apne ghar gaya. Maine papa se Baat ki to unhone saaf mana kar diya. Unhone kaha 10th ke Baad maine manane ki bahot kosis ki apni mango ko chhota kiya mai soch raha tha ki diwali offer me le sakte hai. Din bitte gaye diwali aayi maine Phir prastav rakha magar ab mai 10th me tha to unko mana karne ka achha  Bahana mil gaya mai bahut jyada gussa ho gaya aur apna krodh pradarsan bhi dikhane lagaa par mere papa na hi gussae na hi raazi hue. Unki vivasta ko dekh kar mujhe bahut bura laga apne upar gussa aya us din mai der Raat tak kitchen me tha to mere papa ne mujhse puchaa kaya Baat hai(ye sawal isliye tha kyoki mai bahar padhta tha aur jahaa mai rahta tha vahaa mujhe bahut gande tarike se treat karte the mujhe mental torcher karte the aur iski bhanak mere papa ko lag gayi thi) to maine unse maafi mangi aur sone chala gaya




To mera phone aaya ya nahi ye jaanege agle blogg me

AaaaaAaAaa obviously aaya tabhi to mai blogg likh raha hu


To kaise ayaa ye janenge agle blogg me


Thanks for reading good bye
                         
                    Author - Iftekhar Ahmad     

Comments